B
harat ki yuva cricket sansani Abhishek Sharma ke liye yah do din kya bawandar rahe hain!
23 varshiya salami ballebaz Sunday ko Harare mein Zimbabwe ke khilaf doosre T20I mein apne visphotak shatak lagane ke baad cricket jagat ki charcha ban gaye hain.
Apne debut match mein duck par out hone se lekar T20I mein ek Bhartiya dwara teesra sabse tez shatak banane tak, 48 ghante se bhi kam samay mein, yah script to sirf Jay Shah bhai hi likh sakte hain! 😂 😂
Emotions ka ek Roller Coaster
Paristhiti aisi thi ki, 24 ghante se bhi kam samay mein, apne debut par, woh shoonya par out ho gaye the. Hamare liye to ye kalpana karna bhi kathin hogi ki, SRH ke liye khatarnak IPL season khelne ke baad international level par accha khelne ke liye un par kya dabav rahi hogi. 🥺😥😢
Lekin kehte hain na ki cricket shandar anishchitataon ka khel hai, aur Abhishek ne 24 ghante ke andar hi andar shatak laga ke un sabhi shor ko bhi shaant kar diya jo unhe pehle match ke baad troll kar rahe the.
kehte hain na ki cricket shandar anishchitataon ka khel hai, aur Abhishek ne 24 ghante ke andar hi andar shatak laga ke un sabhi shor ko bhi shaant kar diya
24 ghante se bhi kam samay ke baad, woh mano ek mission ke saath crease par chale the. Aur ladke ne kya kamaal ki shots lagayi yaar. 😲😲
Doosre T20I mein, Abhishek ne 46 gendon mein shatak jadhte hue jam kar hungama machaya. Unki pari modern-day akramak ballebaazi ki ek jhalak thi.
Aath chhakke aur saat chauke, -- irade spasht tha, chhodna nahin hai aaj. Yeh sirf ek waapsi nahin thi guru; yah to cricket jagat ke liye ek statement thi.
Mentor ka prabhav: Yuvraj Singh
Very proud! Well done, very proud. You deserve it. Many more to come. This is just the start - Yuvraj Singh
Maine kal bhi unse baat ki thi. Mujhe nahin pata kyun, lekin jab main 0 run par out hua to way bahut khush the. Unhone kaha, 'Yah ek acchi shuruaat hai'," Abhishek ne muskurate hue kaha
Wakt badalne wali dastak
Sunday ko paari ki doosri hi gend se, jise Abhishek ne chhakka ke liye bheja, yah spasht tha ki aaj kuch khaas hone wala tha. Kal Abhishek ki pari bilkul power hitting aur compact batting ki mishran thi.
Halaanki bhaagya ne bhi kal unke thode saath diye the - 7 ve over mein catch girne aur 12 vein mein DRS ke chalte bach ne ke baad bhi - unhone apna andaaz nahin badla.
Fortune favours the brave
Wah kehte hain na ki fortune favors the brave. Zimbabwe ke gendbaazon par Abhishek ka toofani hamla, IPL mein Sunrisers Hyderabad aur Syed Mushtaq Ali Trophy mein Punjab ke liye unki pariyon ki yaad dilata hai.
Turant badlav ki raaz
The positive was that we didn't have much time to think about the next game because it was the next day - Abhishek Sharma
un gendbaazon ki chayan karein jinko dhulai kar sake
Parivar ka utsah aur 'Chain Kuli Ki Main Kuli' wali bat
Match ke baad Abhishek ka parivar apni khushi ko rok nahin paye. Unhone video call ke zariye unke shatak ka jashn manaya aur un par pyar aur badhai ki bauchhar ki.
Yahi ek kshan hote hain jo varshon ki sabhi kadi mehnat aur tapasya ko sarthak banate hain.
BCCI dwara post ki gayi ek vishesh baat-cheet mein, Abhishek ne ek interesting baat ka khulasa kiya – unhone match ke liye apne kareebi dost Shubman Gill ke bat ka istemal kiya tha. Unhone kaha, 'Kuch boundaries lagane ke baad mujhe pata tha ki yah mera din hai.'
Kuch boundaries lagane ke baad mujhe pata tha ki yah mera din hai - Abhishek
Aage ka rasta
Abhishek Sharma ke liye yeh shatak to abhi sirf shuruaat hai. Unke pradarshan ne na keval Bharat ko series barabar karne mein madad ki balki team mein unki jagah (kuch had tak) pakki bhi ki.
Jis tarah se unhone dabav ko sambhala, unka napa tola aggressive intent, aur vifalta se waapsi karne ki unki kshamata ye kuch aise gun hain, jo antar-rashtriya cricket mein unke bhavishya ke liye zaroori sabit honge.
Cricket fans ke roop mein, hum to yeh hi chahenge ki Abhishek ki aisi kai aur visphotak pariyan humein aage bhi dekhne ko milte rahein.
Yadi unka vartaman ka form aise hi chalte rahe, to aage chalke ummeed hai ki bahut sari opposition teams ke unke dwara software update hone wali hai.